Waalidayn se mashwara karna nikaah ke baare me
Question
Mujhy ik masla baayan karna tha, masla meri shadi ka ha, ik larky k sath meri razamandi, meri khawsih b ha k meri us sy shadi ho, or us ki taraf b yhi mamla ha, us k ghar waly raazi hain, ab masla yh ha koi rasta nazar nai araha k kis tarah apny ghar walo us k bary m batao k wo rishta lana chahta ha, yh koi esa zariya paida ho jis s asani ho, meri rehnumai karein bhot zada pereshan ho, Allah n chah tu ghar waly raazi hojayn gy, lkn koi zariya paida ho jis s wo rishta ly k asky ghar tk, Allah ka shukar ha meri yh soch nai ha k khuda na khausta maa baap k khilaf ja k shadi karo us s, maa baap ki raza mandi s hi shadi karna chahti ho lkn koi rasta smjh nai araha, mujhy in sb kamo ki asani k lye koi wazifa bta dein.
Answer
Apne waalidayn se baat kare. Agar waalidayn se baat karna mushkil ho to chacha ya maamu se baat kare.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
- Answered by
- Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)
Where scholars differ, it’s safer to take the more cautious view.
Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, please ask a Mufti. Report an issue
For corrections or mistakes, please email us at fatawasa786@gmail.com.
Source: Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen — https://muftionline.co.za/node/19379
Fatawa SA: https://fatawa.co.za/fatwa/muftionline-19379