Showhar ke bhai hamare saat rehna

· 16 Dhuʻl-Qiʻdah 1434 AH1 min readRoman Urdu

Question

Mera sawal yeh hai ke mere husband har chotti chotti si argument pe mujhe chorne ki baat karte hain. Hamari har waqt arguments hoti hain aur wo apne bhai ko saath rakhna chahate hain aur main unke bhai (na mahram) ke saath ek ghar main nahi rahna chahati to wo mujhe yeh kahte hain agar main nahi rah sakti to main alag hojaon unse. Ham states main rahte hain aur apartment main mere husband ghar main move hona chahate hain kyonke unhe dogs breeding karni hai, per hamare abhi aysi halaat nahi hain ke ham house afford kar sakain tabhi wo apne bhai ko rakhna chahate hain so he can help to pay the rent. Is surat main mujhe kya karna chahiye main koi galat faisla nahi lena chahati ke Allah ki nazar main gunah gaar hojaon. Please help me and advice me islam ki roshni main.

Answer

Agar aap ke showhar ka bhai rehna shuroo' kare aap logo ke saat, to ihtiyaat ke saath un se purdah ka ihtimaam kya kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

References (sources)

عن عقبة بن عامر، أن رسول الله صلى الله عليه وسلم قال: «إياكم والدخول على النساء» فقال رجل من الأنصار: يا رسول الله، أرأيت الحمو؟ قال: «الحمو الموت» (الطبراني 17/277)

Answered by
Mufti Zakaria Makada
Checked & approved by
Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)
Questions about this ruling, answered only from the archive with sources.

Where scholars differ, it’s safer to take the more cautious view.

Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, please ask a Mufti. Report an issue

For corrections or mistakes, please email us at fatawasa786@gmail.com.